dekh ke bhool jaya karta ,
Har buri baaton ko |
Logon se mili choton ko ,
Kash aisa bhi hota |
zindagi ke har pal main ras leta,
Har pal apna alag sa hota |
Na pichchla kuch yaad aata,
Na aane wale ka chintan hota |
bas aaj hi aaj main jeeta ,
Har pal naye dost hote |
har din wo mil jaate ,
phir agle din wo door ho jaate |
na kuch vaade hote ,
na nibh paane ki umeedein hoti |
bas harpal ke saathi se ,
us pal ki hi baatein hoti |
umarbhar saath ki baatein bhi ,
tabh kahan tak reh jaati |
umar bhi to aakhir ,
behoshi se hosh tah ho jaati |
natak kiya tha jo us din peene ka ,
uske baad laga mujhe aisa hi |
kash aisa bhi hota ,
kash ki main nahse main hi hota |
Sunday, January 7, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment