Thursday, February 8, 2007

arth bekar hai

kavita likhne bitha main ,
Boli lekhni mujhse |
shabd lekar aa kathin se ,
bane kavita uttam teri |

maine kaha us se ,
shabd to aavaran hain |
hat jaayenge dheere dheere,
arth ka hi mol hai |

lekhni boli mujhe sun re kavi,
man padne main waqt lagta hai |
chehra pehle hi dikh jaata hai ,
isliye wo hi dil main bas jaata hai |

man main jo hai use rehne de,
kabhi fursat main suna dena |
abhi to bas chehra dikha,
man ka haal 'blog' main jata dena |

aur phir boli lekhni ,
samajh le is baat ko , karan kuch bhi ho |
aavran hi dekhe jaate hain ,
man padne ka waqt kisi ke pass nahi hai |

to man ki man main rehne de,
bahar ko mahan bana |
kyunki shabd ka mol hai pyare ,
arth bekar hai |

No comments: