palak ka ek baal gira mere haath pe
us ka ishara tha ye kuch maagne ko
sochne laga kya maangu jo mil jaaye
sochne laga kya maangu jo chahiye
ek ek karke sab yaad aaya
bachpan se sabhi yaadein yaad aayi
main soch main hi pada raha
sab kuch hi tha wahi jo chahiye
achaak se ek hawa ka jhonka aaya
aur palak ka baal ud gaya
baal to chala gaya par
jaga gaya wo dukh jo dabe hue the ab tak.
Sunday, August 26, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment